Jagat Ke Rang Kya Dekhu – 2 – Khatu Shyam Bhajan
Jagat ke rang kya dekhu,
tera deedar kafi hai.
Kyon bhatkoon gairon ke dar pe,
tera darbaar kafi hai.
Nahin chaahiye ye duniya ke
niraale rang dhang mujhko.
Chali jaoon main Vrindavan,
tera shringaar kafi hai
Jagat ke rang kya dekhu,
tera deedar kafi hai.
Jagat ke saaj baajon se
huye hain kaan ab bahre.
Kahaan jaake sunoo bansi,
madhur vo taan kafi hai.
Jagat ke rang kya dekhu,
tera deedar kafi hai.
Jagat ke rishtedaaron ne,
bichhaaya jaal maaya ka.
Tere bhakton se ho preeti,
Shyaam parivaar kafi hai.
Jagat ke rang kya dekhu,
tera deedar kafi hai.
Jagat ki jhoothi raunak se
hain aankhen bhar gaee meri.
Chale aao mere mohan,
daras ki pyaas kafi hai.
Jagat ke rang kya dekhu,
tera deedar kafi hai.
Jagat ke rang kya dekhu,
tera deedar kafi hai.
kyon bhatakoon gairon ke dar pe,
tera darbaar kafi hai.
Jagat Ke Rang Kya Dekhu – 2 – Khatu Shyam Bhajan
Jaya Kishori Ji
Krishna Bhajan
- Aisi Lagi Lagan Meera Ho Gayi Magan
- Aarti Kunj Bihari Ki - Shri Krishna Aarti - with Meanings
- Achyutam Keshavam Krishna Damodaram
- Mera Aapki Kripa Se Sab Kaam Ho Raha Hai
- Nand Ke Anand Bhayo, Jai Kanhaiya Lal Ki
- Madhurashtakam - Adharam Madhuram
- Main Aarti Teri Gaun, O Keshav Kunj Bihari
- Sanwali Surat Pe Mohan - Lyrics with Meanings
- Hey Gopal Krishna, Karu Aarti Teri
- Shyam Rang Me Rangi Chunariya
- Bata Mere Yaar Sudama Re
- Kali Kamli Wala Mera Yaar Hai
- Meri Vinti Yahi Hai Radha Rani
- Jari Ki Pagdi Bandhe Sundar Aankhon Wala
- Are Dwarpalo Kanhaiya Se Keh Do
- Phoolon Me Saj Rahe Hai, Shri Vrindavan Bihari
- Dena ho to Dijiye Janam Janam ka Saath
- Mujhe Apne Hi Rang Me Rang Le
- Natwar Nagar Nanda, Bhajo re Man Govinda