Mujhe Apne Hi Rang Me Rang Le
Mujhe apne hi rang me rang le,
mere yaar Saware
Mere yaar Sanware,
diladaar Sanware
Mujhe apne hi rang me rang le,
mere yaar Saware
Mujhe apne hi rang me rang le,
mere yaar Saware
Aisa rang tu rang de saanvariya,
jo utare na janam janam tak
Naam tu apna likh de kanhaiya,
mere saare badan par
Mujhe apana bana ke dekho,
ik baar Sanware
Mere yaar Sanware,
diladaar Sanware
Mujhe apna bana ke dekho,
ik baar Sanware
Mujhe apne hi rang me rang le,
mere yaar Saware
Shyam piya mori rang de chunariya
Bina rangaaye main ghar nahin jaungi,
bit jaye chaahe saari umariya
Hari na rangaoon main to peeli na rangaoongi,
apne hi rang mein rang de saanvariya
Aisi rang de jo rang naahi chhootey,
dhobiya dhoye chaahe saari umariya
Jo naahi rango to mol hi mangaedo
Braj mein khuli hai prem bajariya
Ya chunari ko odh main to yamuna pe jaungi
Shyaam ki mope padegi najariya
Mere jivan ki naiya laga ja,
us paar Sanware
Bhav saagar mein ai Manmohan,
maajhi ban kar aana
Na bhatakoon idhar udhar he pyaare,
murali madhur bajaana
Meri jivan naiyaa leja us paar Sanware
Mere yaar Sanware, diladaar Sanware
Mujhe apne hi rang me rang le,
mere yaar Saware
Rain chadhi rasool ki, rang maula ke haath
Toone jisaki chunari rangadini re,
dhan dhan uske bhaag
Jo tu maange rang ki rangai,
to mera joban giravi rakh le
Par apani pagadiya, mori chunariya,
ek hi rang mein rang le
Tere rang teri aashaki jaroor kuchh laegi
Mujhe maar daalegi ya jina sikhaayegi
Duniya ke rang mita degi mujhame se
Rang tere pyaar ka yah mujh pe chadhaayegi
Mujhe apna bana ke dekho,
ek baar Sanware
Mujhe apne hi rang me rang le,
mere yaar Saware
Preet lagaana pritam aisi,
nibh jaaye marate dam tak
Is ke siva na tujh se maanga,
na kuchh chaaha abatak
Mere Kanha tum bin jina,
Banwaari tum bin jina bekaar Sanware
Mere yaar Sanware, diladaar Sanware
Mere Kanha tum bin jina bekaar Sanware
Mujhe apne hi rang me rang le, mere yaar Saware
Sanware.., Sanware..
Sanware apane hi rang mein rangale
Shyaam mohe apne hi rang mein rangale
Mujhe Apne Hi Rang Me Rang Le
Poonam Didi (Sadhvi Purnima)
Krishna Bhajan
- Aisi Lagi Lagan Meera Ho Gayi Magan
- Aarti Kunj Bihari Ki - Shri Krishna Aarti - with Meanings
- Achyutam Keshavam Krishna Damodaram
- Mera Aapki Kripa Se Sab Kaam Ho Raha Hai
- Nand Ke Anand Bhayo, Jai Kanhaiya Lal Ki
- Madhurashtakam - Adharam Madhuram
- Main Aarti Teri Gaun, O Keshav Kunj Bihari
- Sanwali Surat Pe Mohan - Lyrics with Meanings
- Hey Gopal Krishna, Karu Aarti Teri
- Shyam Rang Me Rangi Chunariya
- Bata Mere Yaar Sudama Re
- Kali Kamli Wala Mera Yaar Hai
- Meri Vinti Yahi Hai Radha Rani
- Jari Ki Pagdi Bandhe Sundar Aankhon Wala
- Are Dwarpalo Kanhaiya Se Keh Do
- Phoolon Me Saj Rahe Hai, Shri Vrindavan Bihari
- Dena ho to Dijiye Janam Janam ka Saath
- Mujhe Apne Hi Rang Me Rang Le
- Natwar Nagar Nanda, Bhajo re Man Govinda